mere KHayal se aage tera nishana paDa
samand-e-shauq pe ek aur taziyana paDa
abhi to ishq o nazar ke hazar pahlu the
gale hamare kahan se gham-e-zamana paDa
parae nur se main kasb-e-faiz kya karta
asar paDa hai kabhi kuchh to ghaebana paDa
mujhe bhi qarz chukana tha us ka ab ke baras
ghalat nahin jo mera dasht mein Thikana paDa
kisi ke hisse mein aai KHirad ki saffaki
kisi ke hath gham-e-ishq ka KHazana paDa
raha na koi yahan sar-ba-sar tahi-daman
sabhi ke zarf mein maqdur phir zamana paDa
hazar aankh dikhate rahe adu 'nami'
ghazal ghazal hi rahi farq ek zara na paDa

Ghazal
Mere KHayal se aage tera nishana paDa
Nami Ansari