mere KHayal ka saya jahan paDa hoga
ba-rang-e-rang-e-tilism-e-rawan paDa hoga
wafur-e-yas mein ummid jab jali hogi
samay ki aankh mein kuchh to dhuan paDa hoga
utar gai jo andheron mein hans ke us pahli
kiran ka panw na jaane kahan paDa hoga
shuur-e-nau ke jab aaine uD rahe honge
ajib aks-e-mah-o-kahkashan paDa hoga
har aah-e-sard labon tak pahunch gai hogi
har aah-e-sard ka dil par nishan paDa hoga
kise KHabar thi ki gulchin ki qaid mein ek din
gulon ke samne KHud baghban paDa hoga
qasam teri mere maula wo din qarib hai jab
zamin ke panw tera aasman paDa hoga
Ghazal
Mere KHayal ka saya jahan paDa hoga
Takht Singh