mere karim inayat se teri kya na mila
gunah kar ke bhi be-muzad aab-o-dana mila
ajal na thi teri qismat mein warna ai bulbul
wahin to dam bhi tha jis jagah se dana mila
shumar kis se ho naqsh-o-nigar qudrat ka
jidhar nigah paDi ek naya KHazana mila
karam ka lutf na paya sitam ki lazzat se
kali kali se mujhe zaKHm-e-taziyana mila
biTha diya tha mujhe joshish-e-hawadis ne
baDi kashish se sar-e-mauj ek Thikana mila
jahan mein KHak ke zarre ko sar-bulandi kya
uruj-e-mah mila bhi to yak shabana mila
kiya hai faisla qassam-e-KHalq ne kya KHub
bashar ko zist mili maut ko bahana mila
sadaf ne zulm kiya chhoD di jo fikr-o-talash
jabhi to rizq mein patthar ka ek dana mila
hum is KHayal ke taqsir-war hain 'shair'
jahan bhar mein koi dost ba-wafa na mila
Ghazal
Mere karim inayat se teri kya na mila
Agha Shayar Qazalbash