mere kamre mein puri chandni hai
faqat teri kami baqi rahi hai
main sahra mein tasalli se rahunga
musalsal tishnagi hi tishnagi hai
KHamoshi oDh kar baiThe hain sab peD
ye barish aaj kitni KHushk si hai
hawa aai hai kis duniya se ho kar
har ek Tahni shajar ki kanpti hai
abhi to sardiyon ka daur hoga
faza rona tha jitna ro chuki hai
main har dipak bujhata ja raha hun
meri duniya mein itni raushni hai
daricha ab nahin khulta tumhaara
nazar lekin kisi ki manti hai
wo jo hassas laDka mar gaya tha
ab us ka shauq kewal shairi hai
kabhi Thahra nahin phulon ka mausam
dilon ka TuT jaana qudrati hai
Ghazal
Mere kamre mein puri chandni hai
Dinesh naaidu