mere hi dil ko apna ghar samajhna
use tum taj se behtar samajhna
na karna KHair-KHwahi tum kisi ki
jo behtar ho use behtar samajhna
na itrana kabhi shohrat pe apni
sada apne ko tum ahqar samajhna
uDa de aadmi ko jo bamon se
use changez ka lashkar samajhna
hai dhoka dena apne aap ko bas
kisi insan ko be-par samajhna
bahut nuqsan-deh hoga wo sabit
chamakti ret ko manzar samajhna
shab-e-gham mein sitaron ko ai 'ibrat'
sukun-parwar nahin aKHgar samajhna
Ghazal
Mere hi dil ko apna ghar samajhna
Ibrat Bahraichi