mere haq mein koi aisi dua kar
main zinda rah sakun tujh ko bhula kar
fasurda hun tujhe kho kar ki jaise
koi bachcha qalam taKHti ganwa kar
yahan suraj se KHali din hain sare
kaha to tha tujhe raushan diya kar
bhulane ki main koshish kar raha hun
teri taswir kamre mein saja kar
hua mahrum main shams o qamar se
ghana ek peD aangan mein laga kar
mujhe mere muqabil kar diya hai
kisi ne aaina mujh ko dikha kar
KHud apna rasta hi kho diya hai
safar mein gard panw se uDa kar
main kaise shauq ki taskin karta
kisi zaKHmi parinde ko uDa kar
main chunta phirta hun kaghaz ke TukDe
kitabon ko samundar mein baha kar
ghuTan ko kar liya apna muqaddar
makan ko shahr se uncha uTha kar
main us ko jaanta hun baat meri
wo ab bhi Tal dega muskura kar
'nawed'-e-subh ka hasil hai suraj
ujala hoga taron ko miTa kar

Ghazal
Mere haq mein koi aisi dua kar
Seeman Naved