اردو हिंदी
Mere haal se nahin be-KHabar mera kuza-gar | Shaahi Shayari
mere haal se nahin be-KHabar mera kuza-gar

Ghazal

Mere haal se nahin be-KHabar mera kuza-gar

Khursheed Beg Malesvi

;

mere haal se nahin be-KHabar mera kuza-gar
ki hai shah-rag se qarib-tar mera kuza-gar

kabhi baKHsh de mere KHadd-o-KHal ko tazgi
kabhi noch le mere baal-o-par mera kuza-gar

kahin jaan-e-jaan kahin mehrban kahin raaz-dan
kahin nukta-bin kahin nukta-war mera kuza-gar

meri KHubiyon meri KHamiyon se hai be-KHabar
nahin be-basar nahin kam-nazar mera kuza-gar

mera aaina kabhi sang-o-KHisht mein Dhaal de
kabhi toD de mujhe joD kar mera kuza-gar

mujhe aise lagta hai mere jism ki KHak ko
abhi aur rakkhega chaak par mera kuza-gar

mujhe raston ki saubaton se nahin KHatar
mere sath hai mera ham-safar mera kuza-gar

wahi zaKHm de wahi zaKHm-e-dil ki dawa kare
mera mehrban mera chaara-gar mera kuza-gar