mere ghar ke log jo ghar mujhi ko supurd kar ke chale gae
mera bar-e-gham na uTha sake to mujhi pe dhar ke chale gae
kabhi ghar hamare wo aa gae to likha nasib ka dekhiye
koi baat un se na ho saki wo zara Thahar ke chale gae
jahan lutf-e-sair na pa sake na jahan ka haal bata sake
jahan zindagi mein na ja sake wahan log mar ke chale gae
koi baat un se karega kya wo jawab le ke phirega kya
unhen dekh kar jo hawas hi mere nama-bar ke chale gae
hai sara-e-dahar ajab makan jo musafir aa ke rahe yahan
kabhi tin din kabhi chaar din wo Thahar Thahar ke chale gae
nahin aaj rang wo KHalq ka kabhi ye zamane ka haal tha
hamein sar pe apne biTha liya jo kisi bashar ke chale gae
hai adam ka saKHt wo marhala jahan apna apna hai rasta
wo safar nahin ye jo sath hum kisi ham-safar ke chale gae
tere pasban se tera pata kabhi hum ne puchha to ye mila
ki makan se wo sar-e-sham hi kahin ban-sanwar ke chale gae
unhen bazm-e-ghair mein dekh kar kahen kya 'rashid' ki kya hua
kabhi zabt kar ke Thahar gae kabhi aah bhar ke chale gae
Ghazal
Mere ghar ke log jo ghar mujhi ko supurd kar ke chale gae
Rasheed Rampuri

