اردو हिंदी
Mere gham ke liye is bazm mein fursat kahan paida | Shaahi Shayari
mere gham ke liye is bazm mein fursat kahan paida

Ghazal

Mere gham ke liye is bazm mein fursat kahan paida

Maikash Akbarabadi

;

mere gham ke liye is bazm mein fursat kahan paida
yahan to ho rahi hai dastan se dastan paida

wahi hai ek masti si wahan nazron mein yan dil mein
wahi hai ek shorish hi wahan pinhan yahan paida

tu apna karwan le chal na kar gham mere zarron ka
inhin zarron se ho jaega phir se karwan paida

meri umren simaT aai hain un ke ek lamhe mein
baDi muddat mein hoti hai ye umr-e-jawedan paida

zara tum ne nazar pheri ki jaise kuchh na tha dil mein
zara tum muskurae ho gaya phir ek jahan paida

hamari saKHt-jaani se hua shal hath qatil ka
sar-e-maqtal hi hum ne kar liya dar-ul-aman paida

tawaqqo hai ki badlega zamana lekin ai 'maikash'
zamana hai yahi to ho chuke insan yahan paida