mere e'timad ko gham mila meri jab kisi pe nazar gai
isi justuju isi karb mein meri sari umr guzar gai
kabhi ban ke ishq ki raaz-dan kabhi ho ke aah ki dastan
kai tarah tere huzur tak mere haal-e-dil ki KHabar gai
mujhe mere haal pe chhoD do mere dosto ye karam karo
meri umr-e-rafta ko do sada mujhe dard de ke kidhar gai
kabhi mai-kashon se KHulus tha teri chashm-e-shisha-nawaz ko
magar ab ye dur hai saqiya ki nazar se qadr-e-bashar gai
mujhe zabt-e-gham ka na de sabaq zara apne haal pe kar nazar
meri uljhanon ke KHayal se teri zulf bhi to bikhar gai
ye to waqt waqt ki baat hai koi ro diya koi hans diya
meri wardat-e-dil-o-nazar meri zindagi pe guzar gai
kise DhunDte ho nagar nagar kise shahr shahr ho puchhte
tumhein shams' jis ki talash hai wo nigah-e-aina gir gai
Ghazal
Mere etimad ko gham mila meri jab kisi pe nazar gai
Shams Farrukhabadi