mere dil mein us ne aise tera KHayal Dala
kore libas par ho jaise gulal Dala
kisi samt bhi tu rahta hargiz mera na hota
tera nam likh ke sikka phir bhi uchhaal Dala
main zamin se aasman ki har had ke par pahunchi
tah tak tha teri jaana sab kuchh khangal Dala
ek pal mein dekh teri taswir ban gai jab
kisi aarzu mein la kar thoDa malal Dala
us ne jawab mein kuchh tare gira diye the
main ne aasman ko jab jab koi sawal Dala

Ghazal
Mere dil mein usne aise tera KHayal Dala
Renu Nayyar