mere dil mein KHushbu basi thi jo wo makan apna badal gai
kisi aur abr ki chhanw mein baDi dur mujh se nikal gai
wo jo barf abhi thi jami hui kisi maslahat ke hisar mein
zara waqt ki jo hawa lagi to wo ek pal mein pighal gai
mere ghar ki unchi munDer pe wo jo kali billi thi ghumti
wahi aa ke chupke se raat mein meri faKHta ko nigal gai
baDi tangiyon mein pali hui wo ghazal dukhon mein baDi hui
tujhe lutf-e-aish na de saki to wo teri rah mein jal gai
use dekhne ki thi aarzu mujhe us ki thi baDi justuju
magar us ke aariz-e-naz pe meri har nigah phisal gai
Ghazal
Mere dil mein KHushbu basi thi jo wo makan apna badal gai
Ateeq Anzar