mere dil ko shauq-e-fughan nahin mere lab tak aati dua nahin
wo dahan hun jis mein zaban nahin wo jaras hun jis mein sada nahin
na tujhe dimagh-e-nigah hai na kisi ko tab-e-jamal hai
unhen kis tarah se dikhaun main wo jo kahte hain ki KHuda nahin
kise nind aati hai ai sanam tere taq-e-abru ki yaad mein
kabhi aashna-e-tah-e-baghal sar-e-murgh-e-qibla-numa nahin
ajab is ka kya na samaun main jo KHayal-e-dushman-o-dost hai
wo maqam hun ki guzar nahin wo makan hun ki pata nahin
ye KHilaf ho gaya aasman ye hawa zamane ki phir gai
kahin gul khile bhi to bund se kahin husn hai to wafa nahin
maraz-e-judai-e-yar ne ye bigaD di hai hamari KHu
ki muafiq apne mizaj ke nazar aati koi dawa nahin
mujhe zafran se zard-tar gham-e-hijr-e-yar ne kar diya
nahin aisa koi zamane mein mere haal par jo hansa nahin
mere aage us ko farogh ho ye majal kya hai raqib ki
ye hujum-e-jalwa-e-yar hai ki charagh-e-KHana ko ja nahin
chalen go ki saikDon aandhiyan jalen garche lakh ghar ai falak
bhaDak uTThe 'atish'-e-tur phir koi is tarah ki dawa nahin
Ghazal
Mere dil ko shauq-e-fughan nahin mere lab tak aati dua nahin
Haidar Ali Aatish