mere dil ko mohabbat KHub garmae to achchha ho
KHalish baDh kar ilaj-e-dard ban jae to achchha ho
mere ashk-e-mohabbat se dilon ke mail dhul jaen
mera gham zindagi ke kaam aa jae to achchha ho
har ek mazlum ko meri himayat ka sahaara ho
mera zauq-e-amal us rah par aae to achchha ho
mere soz-e-darun se jagmagae hasti-e-alam
mera nur-e-basirat aam ho jae to achchha ho
andheri shab hai sham-e-dil farozan kijiye yaro
sitaron ki chamak kuchh aur baDh jae to achchha ho
zaban par baat bhule se na aae shikwa-e-dil ki
taghaful par kabhi un ke na harf aae to achchha ho
haqiqat KHud ko manwa le zaban-e-be-zabani se
KHud un ka dil nigahon se jo sharmae to achchha ho
meri bechainiyon ko chain kuchh to aa hi jaega
tabib-e-ishq mujh ko dekhne aae to achchha ho
unhen ranginiyon se ek shaghaf ai 'taj' rahta hai
meri bechainiyon mein rang bhar jae to achchha ho
Ghazal
Mere dil ko mohabbat KHub garmae to achchha ho
Zahiir Ahmad Taaj