mere dil ki ab ai ashk-e-nadamat shust-o-shu kar de
bas itna kar ke duniya se mujhe be-arzu kar de
chaman sar par uTha rakkha hai fariyaad-e-anadil ne
maza aa jae tu gul ko agar be-rang-o-bu kar de
ye inam-e-taghaf ai dil-e-himmat-shikan tauba
mujhe gum kar to yun gum kar ki mahw-e-justuju kar de
sadaf ki tarah dil ko raaz-dar-e-mauj-e-tufan kar
guhar ki tarah mujh ko gharq-e-bahr-e-abru kar de
milega rishtha-e-ulfat kahin ai baKHiya-gar tujh ko
jo mil jae to mere dil ke zaKHmon ko rafu kar de
mujhe tab-e-nazar baqi nahin ai jalwa-e-jaanan
pareshan ek zara aariz pe zulf-e-mushkbu kar de
gali jati hain zanjiren jala jata hai pairahan
junun ko fikr hai ruswa mujhe phir ku-ba-ku kar de
mujhe awwal fana aaKHir fana ai 'barq' hona hai
zahe-qismat jo ruKH meri taraf wo shoala-ru kar de
Ghazal
Mere dil ki ab ai ashk-e-nadamat shust-o-shu kar de
Shyam Sunder Lal Barq