mere dhyan mein hai ek mahal kahin chaubaron ka
wahan jaun kaise rasta hai angaron ka
wahan hariyali ke kunj mein ek basera hai
wahan dariya bahta rahta hai mahkaron ka
tum dil ka daricha khol ke bahar dekho to
amboh guzarne wala hai dil-daron ka
meri KHalwat ko ye insanon ka jangal hai
meri wahshat ko ye sahra hai diwaron ka
ek pile rang ki dhund jami hai chehron par
koi aa ke dekhe haal tere bimaron ka
hum qarya qarya mulkon mulkon phirte hain
duniya mein koi des nahin banjaron ka
KHwab ki daulat chain se sone walon ki
tare ginna kaam hai hum bedaron ka

Ghazal
Mere dhyan mein hai ek mahal kahin chaubaron ka
Sabir Waseem