mere chaaron taraf ek aahani diwar kyun hai
agar sachcha hun main sach ka muqaddar haar kyun hai
nishat-o-imbisat-o-shadmani zist Thahri
to batlae koi jina mujhe aazar kyun hai
masafat zindagi hai aur duniya ek sarae
to is tamsil mein tufan ka kirdar kyun hai
jahan sach ki pazirai ke dawedar hain sab
usi bazm-e-suKHan mein bolna dushwar kyun hai
yaqinan hadse bhi juzw-e-KHas-e-zindagi hain
hamara shahr hi in se magar do-chaar kyun hai
meri rahon mein jab hote nahin kanTe 'tasawwur'
main Dar kar sochta hun rasta hamwar kyun hai
Ghazal
Mere chaaron taraf ek aahani diwar kyun hai
Yaqoob Tasawwur