mere chaara-gar tujhe kya KHabar, jo azab-e-hijr-o-visal hai
ye darida tan ye darida man teri chahaton ka kamal hai
mujhe sans sans giran lage, ye wajud wahm-o-guman lage
main talash KHud ko karun kahan meri zat KHwab-o-KHayal hai
wo jo chashm-e-tar mein Thahar gaya wo sitara jaane kidhar gaya
na nashat-e-gham ka hujum ab na hi sabz yaad ki Dal hai
use fasl fasl bhi sinch kar mila saya aur na mila samar
ye ajib ishq ka peD hai ye ajib shaKH-e-nihaal hai
mera harf harf usi ka hai mere KHwab KHwab mein wo basa
jo qarib rah ke bhi dur hai use pana kitna muhaal hai
Ghazal
Mere chaara-gar tujhe kya KHabar, jo azab-e-hijr-o-visal hai
Tasneem Abidi