mere banne se kya kya ban raha tha
main banne ko akela ban raha tha
aur ab jab tan chuka to sharm aai
kai din se ye parda ban raha tha
ziyaada ho rahi thin do saraen
main phir mahfil ka hissa ban raha tha
qayamat aur qayamat par qayamat
main KHush tha mera halqa ban raha tha
falak miT sa gaya hadd-e-nazar tak
sitara hi ek aisa ban raha tha
nasheb-e-shahr tha yun roz-afzun
miyan-e-shahr zina ban raha tha
KHarabi mein ye KHam aaya achanak
KHaraba achchha-KHasa ban raha tha
main aadha jism ja baiTha wahin par
jahan baqi ka aadha ban raha tha
aur ab jab kuchh na ban paya to bole
yahi to tha jo kab ka ban raha tha
adakari numu-dari thi yaksar
main na-maujud kitna ban raha tha
Thahar jaana zarurat se tha yani
guzar jaane ka lamha ban raha tha
mujhe aasan tha hona na hona
zamana miT raha tha ban raha tha
Ghazal
Mere banne se kya kya ban raha tha
Shaheen Abbas

