mere badan se kabhi aanch is tarah aae
lipaT ke mujh se mere sath wo bhi jal jae
main aag hun to mere pas koi kyun baiThe
main rakh hun to koi kyun kuredne aae
bhare dayar mein ab is ko kis tarah DhunDen
hawa chale to kahin bu-ham-nafas aae
ye raat aur riwayat ki ye zanjiren
gali ke moD se do lauTte hue sae
wahi badan wahi chehra wahi libas magar
koi kahan se 'basawan' ka mu-qalam lae
koi to baat hui hai ajib si 'rahat'
ki aaina bhi na wo chhoDe aur sharmae
Ghazal
Mere badan se kabhi aanch is tarah aae
Ameen Rahat Chugtai