mere badan mein pighalta hua sa kuchh to hai
ek aur zat mein Dhalta hua sa kuchh to hai
meri sada na sahi han mera lahu na sahi
ye mauj mauj uchhalta hua sa kuchh to hai
kahin na aaKHiri jhonka ho miTte rishton ka
ye darmiyan se nikalta hua sa kuchh to hai
nahin hai aankh ke sahra mein ek bund sarab
magar ye rang badalta hua sa kuchh to hai
jo mere waste kal zahr ban ke niklega
tere labon pe sambhalta hua sa kuchh to hai
ye aks paikar-e-sad-lams hai nahin na sahi
kisi KHayal mein Dhalta hua sa kuchh to hai
badan ko toD ke bahar nikalna chahta hai
ye kuchh to hai ye machalta hua sa kuchh to hai
kisi ke waste hoga payam ya koi qahr
hamare sar se ye Talta hua sa kuchh to hai
ye main nahin na sahi apne sard bistar par
ye karwaTen si badalta hua sa kuchh to hai
wo kuchh to tha main sahaara jise samajhta tha
ye mere sath phisalta hua sa kuchh to hai
bikhar raha hai faza mein ye dud raushni ka
udhar pahaD ke jalta hua sa kuchh to hai
mere wajud se jo kaT raha hai gam-ba-gam
ye apni rah badalta hua sa kuchh to hai
jo chaTta chala jata hai mujh ko ai 'bani'
ye aastin mein palta hua sa kuchh to hai
Ghazal
Mere badan mein pighalta hua sa kuchh to hai
Rajinder Manchanda Bani