mere andar kahin par kho gai hai 
mohabbat KHak mein luthDi hui hai 
main zaKHmi dil liye kab tak phirunga 
teri KHwahish to kab ki mar chuki hai 
meri aankhon mein hain aansu abhi tak 
kali ek mez par ab tak dhari hai 
tere gham ko sameTa jab to dekha 
udasi sahn mein bikhri paDi hai 
tera saya mujhe lipTa hua hai 
to phir tu fasle par kyun khaDi hai 
lakiren hijr ka dukh ro paDin ya 
tumhaare hath mein mehndi rachi hai
        Ghazal
Mere andar kahin par kho gai hai
Wajeeh Sani

