mere andar jo lahrane lagi hai
mujhi ko mujh se uljhane lagi hai
na tu poras na shayad main sikandar
laDai par bhi laD jaane lagi hai
kisi girte hue patte se puchho
daraKHton ko hawa khane lagi hai
sawa neze pe suraj aa gaya hai
nadi mein baDh si aane lagi hai
wo jis ko zehn se jhaTka diya tha
wo KHwahish dil mein ghar pane lagi hai
lakiren piTne walon ko 'KHalid'
lakiron par hansi aane lagi hai
Ghazal
Mere andar jo lahrane lagi hai
Khalid Ghani