اردو हिंदी
Mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke KHafa na ho | Shaahi Shayari
mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke KHafa na ho

Ghazal

Mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke KHafa na ho

Kaif Ikrami

;

mere aansuon pe nazar na kar mera shikwa sun ke KHafa na ho
use zindagi ka bhi haq nahin jise dard-e-ishq mila na ho

ye inayaten ye nawazishen mere dard-e-dil ki dawa nahin
mujhe us nazar ki talash hai jo ada-shanas-e-wafa na ho

tujhe kya bataun main be-KHabar ki hai dard-e-ishq mein kya asar
ye hai wo latif si kaifiyat jo zaban tak aae ada na ho

ye sharab zer-e-hasin-ghaTa jo hai 'kaif' nazish-e-mai-kada
kisi tishna-kaam ki aarzu kisi tishna-lab ki dua na ho