mera ye zaKHm sine ka kahin bharta hai sine se
lagae ai sanam jab tak na tu sine ko sine se
falak ne shadman dekha jise aaya usi ke sar
KHuda mahfuz har insan ko rakkhe is kamine se
jo le jate hain dil mera bachana Thes se us ko
wo hai ai sang-dil nazuk zyaada aabgine se
na hogi dur ghash meri gulab-o-mushk-o-ambar se
mere ruKH ko tu dho ai gul-badan apne pasine se
kahin ye saf hota hai kudurat aur kine se
agar zaKHm-e-jigar mil bhi gaya dushman ke sine se
dil ek dahne raha gar dusra daim raha baen
na do baham hue dil go mila sina bhi sine se
koi ranj-o-alam aae na dil ke pas ai saqi
jo ho aaghaz-e-mai-noshi moharram ke mahine se
tu chahe dusron ko aur hum marte phiren tujh par
hamare waste marna hai behtar aise jine se
samajhna chahiye kine se sina hai bhara us ka
kiya hai 'mashriqi' inkar jis ne mai ke pine se

Ghazal
Mera ye zaKHm sine ka kahin bharta hai sine se
Sardar Genda Singh Mashriqi