mera wajud shumar-e-nafas mein aaya nahin
tamam-umr main sanson ke bas mein aaya nahin
nuqush-e-lams-e-haqiqat miTane wala tha
magar wo KHwab meri dastaras mein aaya nahin
sawal ye hai ki dasht-e-badan ka kya hoga
agar junun ka parinda qafas mein aaya nahin
ajab nahin ki ye bahen kuchal ke rakh detin
bhala hua wo hisar-e-hawas mein aaya nahin
ye kaun hai jo hamein tul deta rahta hai
ye kaun hai jo zad-e-pesh-o-pas mein aaya nahin
Ghazal
Mera wajud shumar-e-nafas mein aaya nahin
Aqib Sabir