اردو हिंदी
Mera uske pas-e-diwar ghar hota to kya hota | Shaahi Shayari
mera uske pas-e-diwar ghar hota to kya hota

Ghazal

Mera uske pas-e-diwar ghar hota to kya hota

Ghamgeen Dehlvi

;

mera us ke pas-e-diwar ghar hota to kya hota
qaza se ai falak gar is qadar hota to kya hota

janaze par mere us shoKH ko laya hai tu aaKHir
agar ai ishq kuchh tujh mein asar hota to kya hota

hua behosh bilkul aah us ki aamad aamad mein
gar aane se main us ke ba-KHabar hota to kya hota

isi aalam mein hain ye lutf ai dil ishq-bazi ke
agar bagh-e-jinan mein bul-bashar hota to kya hota

tajalli to hui musa ko par meri tarah waiz
hamesha jalwa-gar har ek shajar hota to kya hota

hunar-mandon ko tere hath se hai zindagi mushkil
jo tujh mein bhi koi ai dil hunar hota to kya hota

kiya badnam ek aalam ne 'ghamgin' pak-bazi mein
jo main teri tarah se bad-nazar hota to kya hota