mera soz bhi tarannum meri aah bhi tarana
meri zindagi se sikhe koi gham mein muskurana
ye sitam-taraaz duniya hai usi ki Thokaron mein
gham-e-zindagi ko jis ne gham-e-zindagi na jaana
na qafas hi mo'atabar hai na chaman se mutmain dil
wahin bijliyan bhi hongi jahan hoga aashiyana
ise jo banae insan ise jo samajh le duniya
yahi zindagi haqiqat yahi zindagi fasana
kabhi chashm-e-baghban mein kabhi barq ki nazar mein
kahin main khaTak raha hun kahin mera aashiyana
Ghazal
Mera soz bhi tarannum meri aah bhi tarana
Mukhtar Hashmi