اردو हिंदी
Mera sina hai mashriq aaftab-e-dagh-e-hijran ka | Shaahi Shayari
mera sina hai mashriq aaftab-e-dagh-e-hijran ka

Ghazal

Mera sina hai mashriq aaftab-e-dagh-e-hijran ka

Imam Bakhsh Nasikh

;

mera sina hai mashriq aaftab-e-dagh-e-hijran ka
tulu-e-subh-e-mahshar chaak hai mere gareban ka

azal se dushmani taus o mar aapas mein rakhte hain
dil-e-pur-dagh ko kyunkar hai ishq us zulf-e-pechan ka

kisi KHurshid-ru ko jazb-e-dil ne aaj khincha hai
ki nur-e-subh-e-sadiq hai ghubar apne bayaban ka

chamakna barq ka lazim paDa hai abr-e-baran mein
tasawwur chahiye rone mein us ke ru-e-KHandan ka

diya mere janaze ko jo kandha us pari-ru ne
guman hai taKHta-e-tabut par taKHt-e-sulaiman ka

kisi se dil na is wahshat-sara mein main ne aTkaya
na uljha KHar se daman kabhi mere bayaban ka

tah-e-shamshir-e-qatil kis qadar bashshash tha 'nasiKH'
ki aalam har dahan-e-zaKHm par hai ru-e-KHandan ka