mera pyara hai na-farman hamesha aur pyaron mein
nahin dekha kasu ne lala-ru aisa hazaron mein
apas ushshaq kun pahchante hain KHub KHush-chashman
ajab mardum-shanasi hai narain ke ishaaron mein
teri zulfan ke pech-o-tab ki tarif kun sun kar
gaya patal ko basuk KHajalat khinch maron mein
base hain shauq sun ja kar gulon mein raat kun shayad
ki aati hai gul-andaman ke basi bas haaron mein
Dare kyun sher-dil-ashiq raqiban ke bidakne sun
koi bawar nahin karta shujaat in chakaron mein
daraazi jab diya yaldan ko teri zulf lambi ne
burai tab lagi karne ko har shab baiTh taron mein
apas kun KHak kar gulzar hona hai agar tujh kun
nahin aaya nazar mein sabza-KHar upar bahaaron mein
bila gardan hue gar dekh kar aahu achambha nain
ki hoe hai mahw nargis teri ankhiyan ke nazaron mein
pari-ruyan-e-gulshan sun le aai sim-o-zar nargis
nazar-bazan baja ginte hain us kun maldaron mein
na kah simab ke manind mere dil kun ai chanchal
tera betab hai mumtaz sare be-qararon mein
nikalna mah-ru ke dam se dushwar hai yaran
raha hai 'mubtala' ka dil ulajh zulfan ke taron mein

Ghazal
Mera pyara hai na-farman hamesha aur pyaron mein
Obaidullah Khan Mubtala