mera nahin to wo apna hi kuchh KHayal kare
use kaho ki talluq ko phir bahaal kare
nigah-e-yar na ho to nikhar nahin pata
koi jamal ki jitni bhi dekh-bhaal kare
mile to itni riayat ata kare mujh ko
mere jawab ko sun kar koi sawal kare
kalam kar ki mere lafz ko suhulat ho
tera sukut meri guftugu muhaal kare
bulandiyon pe kahan tak tujhe talash karun
har ek sans pe umr-e-rawan zawal kare
wo honT hon ki tabassum sukut ho ki suKHan
tera jamal har ek rang mein kamal kare
main us ka phul hun 'nayyar' so us pe chhoD diya
wo gesuon mein sajae ki paemal kare
Ghazal
Mera nahin to wo apna hi kuchh KHayal kare
Shahzad Nayar