mera nam qais kyun kar tere nam tak na pahunche
ba-KHuda wo muqtadi kya jo imam tak na pahunche
wo hayat-e-arzi kya jo dawam tak na pahunche
wo usul-e-zindagi kya jo nizam tak na pahunche
jo mujhe zalil kah kar mujhe puchhte ho sab se
meri zat tak to pahunche mere nam tak na pahunche
ye kisi ka mujh se kahna kare KHalq jis se ruswa
koi aisi baat dekho mere nam tak na pahunche
tere ishq mein hamesha milin pechdar rahen
kabhi hum bhaTak bhaTak kar rah-e-am tak na pahunche
Ghazal
Mera nam qais kyun kar tere nam tak na pahunche
Rasheed Rampuri

