mera mazi meri nafi hi to hai
har qadam par koi kami hi to hai
ilm ko raushni se kya matlab
ye andheron se dil-lagi hi to hai
ma-siwa tha na mawara koi
koi taqat kahin chhupi hi to hai
dil-nashin baat us ki lau si thi
shama imshab wahi jali hi to hai
baat kahne mein kuchh nahin 'kausar'
KHushk nazron mein kuchh nami hi to hai

Ghazal
Mera mazi meri nafi hi to hai
Sayeda Kausar Manawwar Shaikhpuri