mera KHulus abhi saKHt imtihan mein hai
ki mere dost ka dushman meri aman mein hai
wo KHush-nasib parinda hai jo uDan mein hai
ki tir nikla nahin hai abhi kaman mein hai
tumhaara nam liya tha kabhi mohabbat se
miThas us ki abhi tak meri zaban mein hai
tum aake lauT gae phir bhi ho yahin maujud
tumhaare jism ki KHushbu mere makan mein hai
kahan milega hasinon ko daur-e-hazir mein
wo shahzada jo pariyon ki dastan mein hai
hai jism saKHt magar dil bahut hi nazuk hai
ki jaise aaina mahfuz ek chaTTan mein hai
tujhe jo zaKHm de tu us ko phul de 'dana'
yahi usul-e-wafa tere KHandan mein hai
Ghazal
Mera KHulus abhi saKHt imtihan mein hai
Abbas Dana