mera KHat hai jahan yaro wo rashk-e-hur le jaana
kisi surat se wan tak tum mera mazkur le jaana
agar wo shola-ru puchhe mere dil ke phaphulon ko
to us ke samne ek KHosha-e-angur le jaana
jo ye puchhe ki ab kitni hai us ke rang par zardi
to yaro tum gul-e-sad-barg ya kafur le jaana
agar puchhe mere sine ke zaKHmon ko to ai yaro
kahin se DhunDh kar ek KHana-e-zambur le jaana
raqib-e-ru-siyah ke haal ka gar majra puchhe
to us ke samne jangal se ek langur le jaana
'nazir' ek din KHushi se yar ne hans kar kaha mujh ko
ki tu bhi ek bosa hum se ai ranjur le jaana
Ghazal
Mera KHat hai jahan yaro wo rashk-e-hur le jaana
Nazeer Akbarabadi