اردو हिंदी
Mera jina gawahi de raha hai | Shaahi Shayari
mera jina gawahi de raha hai

Ghazal

Mera jina gawahi de raha hai

Shabnam Shakeel

;

mera jina gawahi de raha hai
abhi mujh ko bahut kuchh dekhna hai

mujhe hairat hai apne dil pe kitni
ye mera sath ab tak de raha hai

koi roke rawani aansuon ki
ye dariya bahte bahte thak gaya hai

main paDh sakti hun un-likkhe ko ab bhi
ye kashf-e-zat hai ya ek saza hai

ye kaisi sazishon mein ghar gai hun
mujhe mujh se chhupaya ja raha hai

ghane jangal mein tanha chhoD kar wo
kahin se chhup ke mujh ko dekhta hai

KHuda-hafiz mere ai ham-nashino
ki mujh ko to bulawa aa gaya hai

kashish kuchh is qadar hai mujh mein 'shabnam'
samundar meri jaanib baDh raha hai