اردو हिंदी
Mera har tir nishane pe na pahuncha aaKHir | Shaahi Shayari
mera har tir nishane pe na pahuncha aaKHir

Ghazal

Mera har tir nishane pe na pahuncha aaKHir

Anees Ansari

;

mera har tir nishane pe na pahuncha aaKHir
dar-safar mein bhi Thikane pe na pahuncha aaKHir

totli umr mein jo bachcha zara mushfiq tha
kuchh baDa ho ke dahane pe na pahuncha aaKHir

ji ko samjhata hun qismat mein likha tha so hua
kuchh sambhal kar bhi bahane pe na pahuncha aaKHir

ek gham hota to sine se laga leta koi
gham ka ambar uThane pe na pahuncha aaKHir

phal katarne ke liye Dar utar aati thi
be-samar koi bulane pe na pahuncha aaKHir

shahr kuchh chhuT gae gard-e-safar lipTi rahi
koi rudad sunane pe na pahuncha aaKHir