اردو हिंदी
Mera ghurur tujhe kho ke haar man gaya | Shaahi Shayari
mera ghurur tujhe kho ke haar man gaya

Ghazal

Mera ghurur tujhe kho ke haar man gaya

Ahmad Nadeem Qasmi

;

mera ghurur tujhe kho ke haar man gaya
main choT kha ke magar apni qadr jaan gaya

kahin ufuq na mila meri dasht-gardi ko
main teri dhun mein bhari kaenat chhan gaya

KHuda ke baad to be-intiha andhera hai
teri talab mein kahan tak na mera dhyan gaya

jabin pe bal bhi na aata ganwa ke donon-jahan
jo tu chhina to main apni shikast man gaya

badalte rang the teri umang ke ghammaz
tu mujh se bichhDa to main tera raaz jaan gaya

KHud apne aap se main shikwa-sanj aaj bhi hun
'nadim' yun to mujhe ek jahan man gaya