اردو हिंदी
Mera dil sang-dil ne dil ka arman ban ke luTa hai | Shaahi Shayari
mera dil sang-dil ne dil ka arman ban ke luTa hai

Ghazal

Mera dil sang-dil ne dil ka arman ban ke luTa hai

Nazish Sikandarpuri

;

mera dil sang-dil ne dil ka arman ban ke luTa hai
ghazab hai KHana-e-ulfat ko mehman ban ke luTa hai

kiya andher zalim ne bujha kar sham-e-ulfat ko
umidon ki sahar ko sham-e-hijran ban ke luTa hai

jhalak dikhla ke jis ne nind aankhon ki uDai thi
usi ne naqd-e-dil KHwab-e-pareshan ban ke luTa hai

zaban-e-ishq mein jis ko kahenge dushman-e-iman
usi paiman-shikan ne ruh-e-iman ban ke luTa hai

zaban-e-shauq par rakh rakh ke ilzam-e-suKHan-sazi
but-e-KHamosh ne mujh ko zaban-dan ban ke luTa hai

main jis ko manzil-e-maqsud ka rahbar samajhta tha
usi be-dard ne mujh ko nigahban ban ke lauTa hai

kiya mujh ko shikar-e-kufr le kar aaD iman ki
kisi kafir ne ai 'nazish' musalman ban ke luTa hai