mera dil na tha alam-ashna ki teri ada pe nazar paDi
wo na jaane kaun sa waqt tha ki bina-e-KHun-e-jigar paDi
jise chahe malik-e-rang-o-bu usi be-ruKHi mein nawaz de
main idhar tha muntazir-e-karam wo nigah-e-naz udhar paDi
tera kaam sair-e-mudam hai na ki gulsitanon mein Thaharna
ye kali kali ke fareb mein tu kahan se baad-e-sahar paDi
koi mauj-e-bahr se dur hai to jabin-e-bahr pe kya shikan
teri rahmaton ko hua ye kya meri laghzishon pe nazar paDi
tujhe kya ho qadr malal ki tu hai na-rasida-e-zindagi
jo bahut phire hain gali gali tu jabin pe gard-e-safar paDi
sar-e-rah un ko ba-yak-nazar kabhi dekhiye to wahi ada
wahi be-niyazi-e-mahwashan wahi zulf ta-ba-kamar paDi
ba-nigah-e-saqi-e-mahr-o-mah kabhi KHali jam nahin raha
main zamin pe DhunD raha tha kuchh ki wo kahkashan se utar paDi
jo hudud-e-subh mein ruk gaya use ittifaq-e-safar kaho
main wahi musafir-e-sham hun mere raste mein sahar paDi
Ghazal
Mera dil na tha alam-ashna ki teri ada pe nazar paDi
Nushur Wahidi

