mera dil hai mushtaq us gul-badan ka
ki ye bagh ek gul hai jis ke chaman ka
wahi zulf hai jis ki nikhat se ab tak
paDa KHun sukhe hai mushk-e-KHutan ka
wahi lal-e-lab hai ki hasrat se jis ke
jigar aaj tak KHun hai lal-e-yaman ka
ajab sair dekhi 'nazir' us chaman ki
abhi wasl tha nargis-o-nastaran ka
abhi yak-digar jama the sumbul-o-gul
abhi tha baham josh sarw-o-saman ka
abhi chahchahe bulbulon ke ayan the
abhi shor tha qumri-e-nara-zan ka
ghaDi bhar ke hi baad dekha ye aalam
ki nam-o-nishan bhi na wan tha chaman ka
Ghazal
Mera dil hai mushtaq us gul-badan ka
Nazeer Akbarabadi