اردو हिंदी
Mera dil bhi muamma ho gaya hai | Shaahi Shayari
mera dil bhi muamma ho gaya hai

Ghazal

Mera dil bhi muamma ho gaya hai

Muneer Saifi

;

mera dil bhi muamma ho gaya hai
bhari-mahfil mein tanha ho gaya hai

baDa aasan jina ho gaya hai
garan phir lamha lamha ho gaya hai

jo rota tha mere zaKHmon pe yaro
wo aaina bhi andha ho gaya hai

nazar aata nahin insan koi
hamara shahr sahra ho gaya hai

koi bhi shai qarine se nahin hai
ajab dil ka gharaunda ho gaya hai

mera ghar muntazir hai raushni ka
zamane mein sawera ho gaya hai

kahan hai ghair jaanib-dar koi
adu sara zamana ho gaya hai

shab-e-gham muKHtasar hone lagi hai
mariz-e-hijr changa ho gaya hai

falak par aaj-kal hi aise-waise
ghurub apna sitara ho gaya hai

jise main qatl kar aaya tha 'saifi'
wahi ab mujh mein zinda ho gaya hai