mera dil ajab shadmani mein gum hai
ki wo aaj meri kahani mein gum hai
samajhta hai dil tere tarz-e-suKHan ko
magar teri jadu-bayani mein gum hai
main hun fitratan mauj se laDne wala
wo mallah kya jo rawani mein gum hai
use kya pata kya hai sahra-nawardi
hawaon ki jo be-zabani mein gum hai
bahut Tis uThti hai dekhe se us ko
wo kya hai jo teri nishani mein gum hai
usi ka to haq motiyon par hai 'anjum'
samundar ki jo be-karani mein gum hai

Ghazal
Mera dil ajab shadmani mein gum hai
Mushtaq Anjum