اردو हिंदी
Mera badan hai magar mujhse ajnabi hai abhi | Shaahi Shayari
mera badan hai magar mujhse ajnabi hai abhi

Ghazal

Mera badan hai magar mujhse ajnabi hai abhi

Abid Almi

;

mera badan hai magar mujh se ajnabi hai abhi
mere KHayal se mujh mein koi kami hai abhi

sahar sahar na pukaro dubak ke so jao
tumhaare hisse ki shab to bahut paDi hai abhi

na puchho kaise huin Dher ghar ki diwaren
wo ek sada usi malbe mein ghumti hai abhi

wo jis ki lahron ne sadiyon ka farq Dal diya
hamare beach mein hail wahi nadi hai abhi

main thak gaya hun mujhe ek lamha sone do
main jaanta hun ki manzil bahut paDi hai abhi

main us ke waste suraj kahan se aaKHir laun
na jaane raat mujhe kya samajh rahi hai abhi

na jaane kab se safar mein thi us ko mat chheDo
ye gard mere badan par zara jami hai abhi

wo main nahin tha wo meri sada thi galiyon mein
ki mere panw mein zanjir to paDi hai abhi

na jaane waqt kab album sameT le apna
ye tez tez hawa yun to chal rahi hai abhi