اردو हिंदी
Mera baatin mujhe har pal nai duniya dikhata hai | Shaahi Shayari
mera baatin mujhe har pal nai duniya dikhata hai

Ghazal

Mera baatin mujhe har pal nai duniya dikhata hai

Taimur Hasan

;

mera baatin mujhe har pal nai duniya dikhata hai
kisi nadida manzil ka koi rasta dikhata hai

KHuda bhi zindagi deta hai bas ek raat ki hum ko
isi ek raat mein lekin KHuda kya kya dikhata hai

zara tum des ke is rahnuma ke kaam to dekho
shajar ko kaTta hai KHwab sae ka dikhata hai

bahut si KHubiyan hain aaine mein manta hun main
magar ek aib hai kam-baKHt mein chehra dikhata hai

is aashob-e-zamana ke liye main kya kahun 'taimur'
ki har bikhra hua KHud ko yahan simTa dikhata hai