mera andaza ghalat ho to bata de mujh ko
tujh pe ilzam siwa ho to saza de mujh ko
us ne aankhon mein jagah di bhi to aansu ki tarah
shayad ek halki si jumbish bhi gira de mujh ko
teri nazron mein mohabbat bhi hai ek khel to aa
main karun tujh pe bharosa tu dagha de mujh ko
main ujala hun to tanwir mujhe apni bana
aur andhera hun to ai shama miTa de mujh ko
apni taqdir se Takraun badal Dalun ise
itni taufiq kabhi mere KHuda de mujh ko
kitni der aur ruhansa mujhe rakkhega 'KHayal'
ab rulana hai to phir saf rula de mujh ko

Ghazal
Mera andaza ghalat ho to bata de mujhko
Priyadarshi Thakur u0027Khayalu0027