sair kar andalib ka ahwal
hain pareshan chaman mein kuchh par-o-baal
tab-e-gham to gai tabib wale
phir na aaya kabhu mizaj-e-bahaal
sabza-nau-rasta rahguzar ka hun
sar uThaya ki ho gaya pamal
kyun na dekhun chaman ko hasrat se
aashiyan tha mera bhi yan par-sal
sard-mehri ki bas-ki gul-ru ne
oDhi abr-e-bahaar ne bhi shaal
hijr ki shab ko yan tain taDpa
ki hua subh hote mera visal
hum to sah guzre kaj-rawi teri
na nibhe par ai falak ye chaal
dida-e-tar pe shab rakha tha 'mir'
lukka-e-abr hai mera rumal
Ghazal
Sair kar andalib ka ahwal
Mir Taqi Mir