اردو हिंदी
Dast-o-pa mare waqt-e-bismil tak | Shaahi Shayari
dast-o-pa mare waqt-e-bismil tak

Ghazal

Dast-o-pa mare waqt-e-bismil tak

Mir Taqi Mir

;

dast-o-pa mare waqt-e-bismil tak
hath pahuncha na pa-e-qatil tak

kaba pahuncha to kya hua ai shaiKH
sai kar Tuk pahunch kisi dil tak

darpai mahmil us ke jaise jaras
main bhi nalan hun sath manzil tak

bujh gae hum charagh se bahar
kahiyo ai baad-e-shama mahfil tak

na gaya 'mir' apni kashti se
ek bhi taKHta para sahil tak