kahin pahuncho bhi mujh be-pa-o-sar tak
ki pahuncha shama-san dagh ab jigar tak
kuchh apni aankh mein yan ka na aaya
KHazaf se le ke dekha dar-e-tar tak
jise shab aag sa dekha sulagte
use phir KHak hi paya sahar tak
tera munh chand sa dekha hai shayad
ki anjum rahte hain har shab idhar tak
jab aaya aah tab apne hi sar par
gaya ye hath kab us ki kamar tak
hum aawazon ko sair ab ki mubarak
par-o-baal apne bhi aise the par tak
khinchi kya kya KHarabi zer-e-diwar
wale aaya na wo Tak ghar se dar tak
gali tak teri laya tha hamein shauq
kahan taqat ki ab phir jaen ghar tak
yahi dard-e-judai hai jo is shab
to aata hai jigar mizhgan-e-tar tak
dikhai denge hum mayyat ke rangon
agar rah jaenge jite sahar tak
kahan phir shor shewan jab gaya 'mir'
ye hangama hai is hi nauhagar tak
Ghazal
Kahin pahuncho bhi mujh be-pa-o-sar tak
Mir Taqi Mir