shauq hai to hai us ka ghar nazdik
duri-e-rah hai rahbar nazdik
aah karne mein dam ko sadhe rah
kahte hain dil se hai jigar nazdik
dur walon ko bhi na pahunche hum
yahi na tum se hain magar nazdik
Duben dariya-o-koh-o-shahr-o-dasht
tujh se sab kuchh hai chashm-e-tar nazdik
harf duri hai garche insha lek
dijo KHat ja ke nama-bar nazdik
dur ab baiThte hain majlis mein
hum jo tum se the beshtar nazdik
KHabar aati hai so bhi dur se yan
aao yak-bar be-KHabar nazdik
tosha-e-aKHirat ka fikr rahe
ji se jaane ka hai safar nazdik
daur phirne ka hum se waqt gaya
puchh kuchh haal baiTh kar nazdik
mar bhi rah 'mir' shab bahut roya
hai meri jaan ab sahar nazdik
Ghazal
Shauq hai to hai us ka ghar nazdik
Mir Taqi Mir